*Ramzan or Roze se mutalliq Ahadees*
*Ramzan or Roze se mutalliq Ahadees*
---------------------------------------
1) *Jisne ramzan ke roze imaan ke sath or sawab ki niyaat se rakha uske pichele gunah maaf kar diye jayenge.*
--------------------------------------------------
Aap (ﷺ) ne farmaya ke, "Jisne Ramazan ke roze imaan ke saat aur sawāb ki niyyat se rakhe uske pichle tamām gunah maaf kar diye jayenge."
📚(Sahih Bukhari:#1911)
2) *Roze ki niyat dil me honi chahiye na ki zaban se kyuki niyat ki maani irada hota hai or irada dil se kiya jata hai.*
*Roze ki niyat ki dua ka koi suboot Quran or sahi hadees se nhi milta*
👉Rasool Allah ﷺ ne farmaya:- Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi hai to wo mal mardood hai.
📚 [Sahih al bukhari:2697]*
--------------------------------------------------
3) *Roze mein BHOOL kar kha pee lene se roza nhi toot ta. Kyuki usko bhool me Allah ne khilaya hai.*
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
*Jis ne BHOOL kar Roze ki Halat mein kuch kha pee liya toh woh apna Roza poora kare*
kyun ki usey toh Allah ne khilaya pilaya hai.
📚[Bukhari: 6669]*
4) ➡ *Hadees:- Jo roze ki halat me jhhot bolna or daga bazi karna na chore to Allah ko aise roze ki koi zaroorat nahi.*
--------------------------------------------------
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: agar koi shakhs jhoot bolna aur dagha baazi karna (roza rakh kar bhi) nah chhorey to Allah taala ko iski koi zaroorat nahi ke woh apna khana peena chore de.
📚 *[Sahi bukhari:1903]*
5) *Jum tum roze se ho or koi ldna chahe ya gali de to jawab me kh do ki mai roze se hu.*
--------------------------------------------------
*Rozedar ke mooh ki boo(Smell) Allah ke nazdeek khushboo se bhi zayada pasandida hai.*
--------------------------------------------------
Nabi kareem ﷺ ne farmaya, Allah pak farmata hai ke ibne adam ka har nek amaal khud isi ke liye hai magar roze ke woh khaas mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur roza gunaaho ki ek dhaal hai, agar koi roze se ho to usay fehesh goi nah karni chahiye aur nah shor machaye, agar koi shakhs is ko gaali de ya larna chahe to is ka jawab sirf yeh ho ke main ek roza daar aadmi hun, is zaat ki qasam jiske haath mein Mohammad ﷺ ki jaan hai! *roze daar ke muh ki bu Allah taala ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi ziyada pasandeedah hai,* roze daar ko do khusihyan haasil hongi (ek to jab) woh iftaar karta hai to khush hota hai aur (dusra) jab woh apne rab se mulaqaat karega to apne roze ka sawab pa kar khush hoga.
📚 *[Sahi bukhari :-1904]*
6) *Roze ki halat me khoon nikala ja sakta hai or daat bhi nikala ja sakta hai.*
Lekin kamzoori ho jane ka dar hoto nahi niklwao.
📚 *[Bukhari:1938-1940]*
--------------------------------------------------
7) *Roze ki halat me injection lgwaya ja sakta hai lekin wo injection taqat ka na ho blke bimari ka ho.*
--------------------------------------------------
8) *Musafir ke liye Roze rakhna behtar hai ya na rakhna?*
Allah Taala ne farmaya:
Agar tum mein se koi mareez ho ya safar mein
ho toh utne din gin kar baad mein Roze rakh le.
📖[Surah al-Baqarah(2); Ayat-184]
--------------------------------------------------
9) *ifrar krte wakt sirf Bismillah kr ke iftar kre*
(kyuki iftar krte wakt ki dua sahi Rawayat se sabit nhi.)
*Iftar ki bad ki dua.*
*ذَھَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوْقُ وَثَبَتَ الْاَجْرُ اِنْ شَآئَ اللّٰہُ*
*Zahbazzama wabtallatiluruqu wa sabatal ajro in sha Allah.*
[Peyas chali gyi or rage tar ho gyi or agar Allah ne chaha to ajar sabit ho gya.]
*’’پیاس چلی گئی اور رگیں تر ہوگئیں اور اگر اﷲ نے چاہا تو اجر ثابت ہوگیا۔‘‘*
📚(سنن أبی داود :2357)
--------------------------------------------------
10) *Roze ki halat me ankh ya kan me dawa dalne se bachna chahiye kyuki eska (eyes and nose) connection halaq se hota hai.*
Ibn Abbas RA farmate hain “Koi cheez dakhil ho jaye to roza toot jata hai aur nikalne se nahi toot ta”
📚(Al Ausat ibn Munzir 1/185, Bukhari h# 1938 se qabl)
--------------------------------------------------
11) *Ghusl wajib hone ki halat me bina Ghusl sehri karne me koi harj nahi hai.*
*Fajr ki namaz ke liye Ghusl zarur kar liya jaye.*
📚.(Bukhari h# 1925, 1926)
--------------------------------------------------
12) *Qai (vomit) ho jane se roza nahi toot ta.*
📚(Musannaf Ibn Abi Shaiba h#9188)
--------------------------------------------------
13) *Hadith: Ramazan mein Umrah karna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai*
Mafhom-e-hadees:-
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalllam jab Hajj-e-vida se wapas huye to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne umm sinan ansariya aurat se farmaya ki tum Hajj karne (kyun) nahi gayee ? usne kaha ki falaah ke walid yani mere khawind (husband) ke pass do oont (camel) pani pilane ke liye they ek par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab karta hai is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Ramzan mein Umrah kar lena kyunki ye mere saath hajj karne ke barabar hai.
📚 *[Sahih Bukhari:-1863]*
Join our watp grp
https://chat.whatsapp.com/GDiBuwOKsNw3U85nN16zi7
Subscribe Our *Youtube channel*
👇👇👇👇👇
https://www.youtube.com/channel/UCm96sEEZPYUxEMTe-3RD1Bw
*Visit our blog(website typ)*
👇👇
https://beneficialilmcenter.blogspot.com/ ( *yaha bahut sari hadeese maujood hai alhumdullah)*
👉 अगर आपका *कोई सवाल होतो हमे mail कर सकते हैं।* Mail id: sawaljawab24hour@gmail.com
( *हमे आपके सवाल का इंतज़ार रहेगा)*
Comments
Post a Comment