*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.*
*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.*
๐ Na koi Rahnuma na huqoomat,
*koi bhi Ab hamara nahi.*
Ibteda jiski *Qur'an Lafz "Iqra" se* hui yaroo,
Qaum Aisi hi rah jaye Jahil *ye Khuda Ko gawara nhi.*
*Waqt ki ye zaroorat samjh Lo, Bin padhe Ab guzara nahi.*
๐Ham padhe or padkar likhe sab,
*Warna tarikh badli milegi,*
Ab qalam or kagaz se badkar
Dusra koi chara nahi.
*Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.*
๐Padhne likhne se sab kuch banega, *Doure hajir bhi or aakhirat bhi,*
Kab tak *rote rote kahege,* Doure hajir hamara nahi.
*Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.*
๐Har taraf *zulm ki sajishe hain,*
In se bachne ki khawahish hi sirf,
Taleem hi h sahara Ab koi or sahara nahi.
*Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.*
๐Dard me *doob kar Aaj mene tumko aawaz Di h yaroo,*
Itni *Shiddat se mene kisiko* Aaj tak pukara nahi.
*Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.*
Comments
Post a Comment