*Imam Mehdi (A.S.) ka zahoor (Unke Aane ke bare me)*
*Imam Mehdi (A.S.) ka zahoor (Unke Aane ke bare me)*
---------------------------------------------
1) *Wo Hazrat fatima (R.A) ki Family se honge (Matlb wo Arab se honge)*
------------------------------------------
👉 Hadees: Hazrat Ali (R.A) se Marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshaad farmaya: “Mehdi mere Ahle Bait se hoga jis ki ek hi raat mein Allah Ta’ala islah farma dega.”
📚(Masnad Ahmad 102/1)
📚(Ibne maja Kitab ul Fitan baab khurooj al mehdi 4136)
📚(Ibne Abi Shaiba 678/8)
👉 Hadees: Hazrat Umme Salma (R.A) farmati hai ke maine Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka yeh irshaad garami suna hai ke “Mehdi meri nasal mein (Hazrat ) fatima (R.A) ki aulad mein se hoga.”
📚(Abu Dawood; Kitab al Mehdi 4278)
📚(Ibne Maja 4086)
👆 *Wazahat:-* Imam Mehdi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke ahle bait yaani Hazrat Fatima (R.A) ki Aulad (Hazrat Hassan (R.A) ya Hazrat Hussain R.A) se hongey.
2) *Unka Name Muhammad ﷺ ke naam jaisa hoga.”(Muhammad ya Ahmad)*
👉 *Wo Arab ke Hakim (Ruler) Banenge*
----------------------------------------
👉Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood se marvi hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshaad farmaya: “Qayamat qayem nahi hogi hatta ke mere ahle bait se ek aadmi Arab ka hakim ban jayega jis ka naam mere naam jaisa hoga.”
📚(Sunan Tirmizi Kitab ul Fitan baab ma ja'a fil mehdi 2230
Ahmad 471/1)
📚(Abu Dawood 4282)
📚(Ibne Hibbaan 236/15)
📚(Tibrani Kabeer 133/10)
📚(Hakim 488/4)
📚(Sahih Jami al Sagheer 5180)
👉 Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood e Mairvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshaad farmaya: “Dunia mein ek aisa din baaki hai (jisey Allah Ta’ala taveel kar dega aur) is mein mere Ahle Bait me se ek aadmi ko (Imam bana kar) zahir karenga jis ka naam mere naam jaisa aur jis ke baap ka naam mere baap ke naam jaisa hoga.”
📚(Abu Daood; Kitab ul Mehdi 4283)
📚(Masnad Ahmad 120/1)
👆 *Wazahat:-* Imam Mehdi ka naam Khatim ul Nabiyeen (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke naam jaisa aur in ke walid ka naam Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke walid ke naam jaisa hoga aur yeh yaad rakhiye ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke maroof naam 2 they Ek Muhammad aur Doosra Ahmad (Sallallah Alaih Wasalam) aur yeh dono Quran Majeed mein bhi mazkoor hai lihaza Imam Mehdi mosof ka naam Muhammad ya Ahmad bin Abdullah hoga.
3) *Wo Panch saal ya saat saal ya 9 saal tak (Zinda) raheinge.*
--------------------------------------------
👉 Hadees: Hazrat Abu saeed (R.A) farmatey hai ke hume Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafaat ke baad hadsaat (ke zahoor) ka khadsha lahaq huwa tou hum ne Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) se pucha tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Mehdi meri Ummat mein Zahir honge jo panch saal ya saat saal ya 9 saal tak (Zinda) raheinge.”
📚(Masnad Ahmad 27/3)
👉Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: “Meri Ummat mein Mehdi ka zahoor hoga. Allah isey barish se sairaab farmayega, Zameen apni nabataat ugayege, wo maal ki sahih sahih taqseem karega, muwashi (janwar) bakasrat hongey, ummat azeem ho jayegi aur wo (musalsal) saat ya 8 saal (tak zinda) rahega.”
📚(Mustadrik hakim kitab al fitan wal malahim 557-8/4)
📚(Silsala al saheeha 336/2)
👆 *Wazahat:-* Imam Mehdi zahoor ke baad ziada se ziada 9 saal aur kum az kum 5 saal zinda raheinge.
Imam mehdi koi Nabi ya Rasool nahi honge balkey Ek Neik Saleh aur Mujahid Hukmaran hongey jo Manhaj e Nabwi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke mutabiq Shariyat Muhammadi ka ahya aur khilafat islamiya ko qayam karenge.
4) *Wo baitullah mein panah lengey*
------------------------------------------
👉Baitullah me Imam Mehdi bait lengey jaisa ke Ek hadees me is ki taraf ishara hai ke Hazrat Abu Qitada farmatey hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Rukan Yamani aur Muqam Ibraheem ke darmayan ek aadmi (Imam Mehdi) ki bait ki jayegi.”
📚[Masnad Ahmad 291/2]
5) *Wo Zameen ko iss tarah adal o insaf se bhar denge jis tarah yeh Zulm-o-Jor se bhari pari thi.*
------------------------------------------------
👉Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshaad farmaya: “Qayamat qayem nahi hogi hatta ke Roo-e-Zameen Zulm o Zayadti se bhar jayegi”, kaha phir. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “phir meri nasal ya Ahle Bait mein se (Eik aadmi) niklega jo Zameen ko iss tarah adal o insaf se bhar dega jis tarah yeh Zulm-o-Jor se bhari pari thi.”
📚(Sunan Tirmizi; Kitab ul Fitan; Baab Ma Jaa fil Mehdi 2232)
📚(Abu Dawood 2485)
📚(Ibne Majah 4134)
📚(Hakim 600/4)
👉 *Zahoor:-* Hafiz ibne Kaseer (R.A) farmatey hain Imam Mehdi ka zahoor mashraqi mumalik se hoga samra ke ghaar se nahi. jaisa ke baaz (Shion) ka khayal hai. Ahle Mashriq in ki musa'adat karenge aur in ki hukumat qayem karenge. baitullah ke nazdeek in ki bait ki jayegi.
6) *Fir Easa (AS) ka nuzool hoga (Namaz e fajar ke waqt) or wo Mehdi (AS ) ke peeche Namaz padhenge*
----------------------------------------------
👉Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: “Tumhara kya haal hoga jab (Namaz e fajar ke waqt) Isa A.S tum mein nazil hongey aur tumhara imam tumhe mein se hoga.”
📚(Sahih Bukhari; Kitab al Ahadees Al Ambiya; Baab Nuzool Isa Ibne Mariyam Alaihe Alsalaam 3449)
👉Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: “Hazrat Isa A.S jis imam ki iqtada mein Namaz perhengy wo (imam) hum (Ahle Bait) mein se hoga.”
📚(Sahih Jame Al Sagheer 219/5)
👉 Hadees: Hazrat jabar bin Abdullah se marvi hai ke maine Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey they ke meri ummat ka ek giroh Qayamat tak haq par ghalib (qayem) rehtey huway qital karta rahega. neez farmaya: phir Isa A.S nazil hongey tou musalmano ka ameer (mehdi) kahega aaeiye Namaz parhayen. Magar Isa A.S farmayengey, Nahi bila shubba Ameer tum se hi hoga. Yeh Allah Ta’ala ne is Ummat ko sharf bakhsha hai.”
📚(Sahih Muslim; Kitab ul Iman; Baab nuzool Isa Ibne Mariyam Hakima 390)
👆 *Wazahat:-* Imam Mehdi ka zahoor Hazrat Isa A.S se pehle hoga aur Hazrat Isa (A.S.) in ki iqtada mein Namaz ada karenge.
---------------------------------------
👉 *Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Imam Mehdi ki bohot si Sifaat o Alamat bayan farma di hai jin ki roshni mein imam mehdi ki pehchan ummat ke liye asan hai.*
👇👇👇👇👇👇👇👇
zahoor mehdi ki nishani zahir nahi hui agarchay tareekh mein bohat se logon ne mehdi mosoof se mutaliq ahadees ko ghalat pehnawa dekar mehdviyat ka dhong rachaya magar Allah Ta’ala ne dunia mein he in ke kizab o iftara ko numaya kar dia aur aaj bhi agar koi aisi jurrat karne ki koshish karega tou duniya mein hi zaleel o ruswa hoga. Albata awam ko chahiye ke "jaali mehdion" se bachney ke liye "ahadees ki roshni mein asli imam mehdi ki alamat o sifaat yaad rakhein."
( *हर बात दलील के साथ*)
*Sawal jawab Toll free number.*
👇👇
Aalim and Aalima Dono available
Toll free 18001234433
*Mazeed ke liye ye dekhe*
👇👇👇👇👇👇👇👇👇
-------------------------------------------------
https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ki-nishanian/
https://islamqa.info/en/answers/1252/is-the-mahdi-real-or-not
https://islamqa.info/amp/en/answers/43840
Comments
Post a Comment