*Agar 4 Rakat ki Jagah 2 hi Rakat Namaz Padh kar Salam pher de to kya kre?*

*Agar 4 Rakat ki Jagah 2 hi Rakat Namaz Padh kar Salam pher de to kya kre?*
-------------------------------------------
*Es me ye hai ki Jitni Rakat nhi pdhi Sirf utni hi Fir se pdhe or Fir Sajada Sahu kr le.* (Poori Namaz ko Fir se padhne ki zarurat nhi)
-------------------------------------------
👉Rasoolullah ﷺ ne *zohar ya Asar ki Namaz pdhai or 2 hi Rakat me Salam pher diya,* to Sahaba (r) ne poocha ke kya Namaz km kr di gyi hai, To Rasoolullah ﷺ ne Baki Sahaba (r) se daryaft kiya, ki kya Sach hai ki mai ne 2 hi Rakat Pdhai hai? to Sahaba(r) ne kaha Ji, *Tab Rasoolullah ﷺ ne 2 or Rakat pdhi or Sajda Sahu kiya.*
👉 *Yaha Rasoolullah ﷺ ne poori Namaz ko fir se Nhi pdha Balke sirf 2 or pdhi or Salam pher diya.*
📚(Sahih Bukhari:-# 1227)

*Namaz 4 ki Jagah 5 Rakat padh le to kya kre?*
---------------------------------------------------
👉Rasoolullah ﷺ ne zohar ki namaz 5 rakat pdhi, To logo ne poocha kya namaz badha di gyi hai? (yani 4 se 5) *to aap ne Salam pherne ke baad 2 Sajada kiya (Sajda Sahu).*

👆 *Es hadees se ye pta chala ki Fir se Namaz dohrane ki zaroort nhi hai, Bus Sajda sahu kr lena chahiye.*
📚 (Jam e Tirmazi Hadees # 392)
( *हर बात दलील के साथ)*

📱 *Forward ज़रूर करे (अल्लाह अज्र देगा इंशाअल्ला)*

Comments

Popular posts from this blog

*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.*

❌ *22 रजब के कुंडे क्या है*❓ ❌

*Rasoolullah ﷺ ya kisi Auliya ke waseele (unke sadqe)se dua mangna kaisa hai?*