*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.* 👉 Na koi Rahnuma na huqoomat, *koi bhi Ab hamara nahi.* Ibteda jiski *Qur'an Lafz "Iqra" se* hui yaroo, Qaum Aisi hi rah jaye Jahil *ye Khuda Ko gawara nhi.* *Waqt ki ye zaroorat samjh Lo, Bin padhe Ab guzara nahi.* 👉Ham padhe or padkar likhe sab, *Warna tarikh badli milegi,* Ab qalam or kagaz se badkar Dusra koi chara nahi. *Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.* 👉Padhne likhne se sab kuch banega, *Doure hajir bhi or aakhirat bhi,* Kab tak *rote rote kahege,* Doure hajir hamara nahi. *Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.* 👉Har taraf *zulm ki sajishe hain,* In se bachne ki khawahish hi sirf, Taleem hi h sahara Ab koi or sahara nahi. *Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.* 👉Dard me *doob kar Aaj mene tumko aawaz Di h yaroo,* Itni *Shiddat se mene kisiko* Aaj tak pukara nahi. *Waqt ki ye zaroorat samjhlo, Bin padhe Ab guzara nahi.*
Comments
Post a Comment