*Witir ki Namaz ka sahi tariqa*

*Witir ki Namaz ka sahi tariqa*

📚Rasool (ﷺ) ne Farmaya
Witr har musalman ka haq hai, To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to woh (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakaat) padhe aur jo koi ek rakaat witr padhna chaahe to (ek rakaat witr) padhe.
📚Sunan Abu Daud, Hadith-1422,) Sahih (Al-Albani).

📚Sahih (Darussalam)
Sunan Ibn Majah
English : Vol. 1, Book 5, Hadith 1190
Arabic : Book 5, Hadith 1246

👉Teen Rakaat Witr padhne ke do tareeqe hain👇

👉1) Pehla Tareeqa👇

👉Ek yeh hai ki Teen rakaat ki witr mein kisi rakaat mein na bedhein siwaaye aakhri rakaat mein. Iska matlab doosri rakaat mein tashahud ke liyen bina bedhe hi uth jaana hai ya aisa keh sakte hain ki doosri rakaat ke sajde ke baad hi uth jaana hai.

📚Hazrat Ayesha R.A Farmaati hai

RasoolAllah (ﷺ) teen rakaat witr padhte they aur woh aakhiri rakaat ke alawa kisi rakaat mein nahi bedhtey they.
📚Al-Nasaa’i, 3/234) (Al-Bayhaqi, 3/31)

Al-Nawawi said it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad.
📚Al-Majmoo’ - 4/7

👉2) Doosra Tareeqa👇

👉Doosra tareeqa yeh hai ki 2 rakaat padh kar salaam pherein aur phir ek rakaat alag se padhna hai.

📚Ibn Umar r.a. riwayat karte hain ki woh do rakaat ko ek rakat se Tasleem (Salaam) ke saath alag kiya karte they, aur woh farmate hain ki aisa RasoolAllah (ﷺ) kiya karte they.

📚Ibn Hibbaan - 2435), (Ibn Hajar said in Al-Fath - 2/482): its isnaad is quitly (strong).

📚Hazrat Ayesha (r.a) Farmati hai ki :

RasoolAllah (ﷺ) teen rakat witr padhte they aur woh aakhri rakaat ke alawa kisi rakaat mein nahi bedhte they.
📚(Al-Nasaa’i, 3/234),
📚(Al-Bayhaqi, 3/31),
📚(Al-Nawawi said in Al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by Al-Bayhaqi with a saheeh isnaad

*Allah Ke Rasool SAW Agar 3 Rakaat witr padte they to 2 rakaat pad ke salaam pherte they aur phir 1 rakaat padi aur pad ke salaam pherte they matlab,
3 rakaat 2 salaam se ya 3 rakaat 1 salaam se.

Comments

Popular posts from this blog

*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.*

*Rasoolullah ﷺ ya kisi Auliya ke waseele (unke sadqe)se dua mangna kaisa hai?*

❌ *22 रजब के कुंडे क्या है*❓ ❌