Tashahhud me ungli uthane ka bayaan*
*Tashahhud me ungli uthane ka bayaan*
–-----------------------------------------------
Nabi sallallahu alaihi wasallam dayein hath ki tamam ungliyo ko band kar lete aur anguthe ke sath wali ungli ko qibla rukh kar ke is ke sath ishara karte.
Sahih Muslim h/no./580
Hazrat Abdullah Bin Zubair razi ALLAH anhu se riwayat hai ke unhone nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ko namaz padhte dekha ap ki nazar ungli ke ishare se aage nahi jati thi.
Sunan Abu Dawood Vol. 1 pg150
Sunan Nisai Vol. 1 pg 173
NOTE
In hadiso se rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam ke tashahhud ki kaifiyat pata chalti hai. Rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam tashahhud padhte waqt ungli se ishara karte aur apni nazar ko ungli ke ishare par rakhte. Nasayi (990) ki riwayt hai ke rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne ungli uthai aur use hilate the. Yaani pura tashahhud padhte waqt ungli se ishara karte aur usko hilate rahte. Jo log sirf ASHHADU AN LAILAHA ILLALLAHU.. padhte waqt ungli utthate hai to wo nabi sallallah alaihi wasallam ke amal ke khilaf kaam karte hai. ALLAH hum sab ko nabi sallallahu alaihi wasallam ke tariqe par namaz ada karne ki taufiq de.
AMEEN
Comments
Post a Comment