*Logo ko achhi bate batane wala or khud us par amal na krne wale ko Qayamat ke din Jahannam me dala jayega.*
*Logo ko achhi bate batane wala or khud us par amal na krne wale ko Qayamat ke din Jahannam me dala jayega.*
=========================
Mafhom-e-hadees:-
👉🏻 *Rasool Allah ﷺ Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo *jahannam me dala jayega* uske pet ki aantein "intestine" bahar nikal aayegi wo unko liye huve gadhe ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega Aur jahannam wale uske paas ekaththe honge usse puchenge ki Aye falah kya tu achchi baat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se mana nahi karta tha wo kahega main to Aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud us par amal nahi karta Aur dusron ko buri baat se mana karta tha lekin khud us se baaz na rahta tha.
*[Sahi bukhari:7098]*
Comments
Post a Comment