*Kya Waqai Islam me Eid Milad un Nabi bhi hai?*

*Kya Waqai Islam me Eid Milad un Nabi bhi hai?*
--------------------------------------------------
   👉 _"Kya RasoolAllah ﷺ ne Jhoot kaha tha "Naauzzubillaah" ke Islaam ki Sirf do Eidein hai (Eid-ul-fitar aur Eid-ul-Azha)_

   🤔 _Ya  phir RasoolAllah ﷺ ko  teesree Eid ki Khabar na thi jo ye Naam Nehaad logon ko pata chalgayi...?_

   👉 _Phir Aisa kyun Kaha Allah aur uske Rasool ﷺ ne ke Deen Islaam  Mukammil hochuka hai, isme ratti bhar kami ya Izaafa na hoga_

  👉 _To ye Naam Nehaad log ye batana chahre ke "Naauzzubillaah" Allah wa Rasool se bhi Deen me kuch kami rehgayi._

   1⃣ _Pehli baat Aajtak Iqtelaaf hai sabhi me ke RasoolAllah ﷺ ki Paidaaish ki taariq ko lekar lekin sabka ijmaa zarur  hai ke Inteqaal 12 RabbilulAwwal ko hua._

  2⃣ _Isi 12 ko Ummat ki Maa Ayesha (Rz.A) ka kaleja Gham se phat pada ke unke pyare Shohar Nabi-e-Aaqir unki God me Aaqri Saans li ....._

😥  _Hazrate  Fatema (Rz.A) ne kaha tha Mujpar gham ka pahaad toot pada ....._

   3⃣ _Hazrat Umar (Rz.A) to Achanak sadme me Aakar kehne lage ke Agar koi kahega ke RasoolAllah ﷺ ka Inteqaal hogaya to uski gardann udaa dunga, is par Hazrate Abu Bakr (Rz.A) ne kaha "Sunlo jo shaqs MUHAMMAD ﷺ ki IBaadat karta tha to Beshak Muhammad ﷺ ko Maut Aagayi"_
*_(📖 Bukhari Shareef, No.3668)_*

👉 _Abubakkar Ko Siddique ka laqab mila, yani sach bolne wala aur Tasdeeq karne wala, Isi Siddique ki gawaahi me Nabi e kareem ﷺ ke liye Maut Ka lafz istemal kiya hai.....Yahan koi Parda lafz Istemaal nahi hai, Aur Abubakkar (Rz.A) logon ko ye sabaq diya hai ke jo Aap ﷺ ko Ma'bood samajta tha to sunle Aap ﷺ faut hochuke hai ...kyunke Ma'bood ko maut Nahi Aati......_

🤔 _To Zaahir si baat hai usdin 12 ko Sahabaon par ghamon ka pahaad toot pada tha, Maare gham ke sab Nidhaal the, Sabhi Sakte me the Madeena Saara ka saara Sannaata me tabdeel tha, Lagta tha jaise Aasmaan sakte me tha, Jaise Zameen rorahi thi, Jaise Farishton par sakti taari tha, Jibraeel (A.S) ka Baar baar Aana wahin band hogaya,  phir baadme Baari Baari Sabhi ne Namaaze Janazaa Ada ki Aur Aapko Tadfeen kiya......_

👹😈 _"Usdin Sirf Shaitaan Khush tha kyunki Saari Dunya ko Hidayat par khada karne waali hasti ko Maut Aachuki thi.... Aur wo jashn Manaraha tha...... thik usi Shaitaan ki pairwari karte hue Manghadat Daleel dete hue "Abu Lahab" ke ye Naam Nehaad Log Shaitaan ke saath  (DJ, Marfa) lagaakar Jashn Manaate hai...._

👉 _Jabke koi Sahabaon ne isdin Jashn nahi manaya... Allah Subhanahu wa taala se Dua hai ke ye Naam Nehaad Sunni wa Barelvi ko Hidayat de..._
*Aameen*

_kisi ne kya khoob kaha hai:_ _*"Shaitaan bhi kya ajeeb khel khilata hai, Nawase ki shadat per Gham o matam aur Nana ki wafaat per Jashn"*_

Comments

Popular posts from this blog

*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.*

❌ *22 रजब के कुंडे क्या है*❓ ❌

*Rasoolullah ﷺ ya kisi Auliya ke waseele (unke sadqe)se dua mangna kaisa hai?*