*Kya Ahlehadees Tafarka Failane ka kam krte hain.*

*Kya Ahlehadees Tafarka Failane ka kam krte hain.*
--------------------------------------------------
*Jawab Qur'an or Sahi Hadees ki Roshni me*.
👇👇👇👇👇
📖 *Quran:-*
*يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ.*
👉 *Allah ki baat mano or Allah ke ke Rasool ﷺ ki baat mano*

📚 [Surah An-Nisa', Ayah 59]

👆 *Ye baat QURAN me 20 se zayada baar kahi gayi hai*

Es Ayat se ye Saaf waze hai ki Allah ne  Hme kisi imam ko manne ke liye nahi kaha blke
👉 *Rasoolallah ﷺ ki Pairwi karne ko kaha gya hai.*

👇 *Or Jaha tak imamo ki baat hai to Charo (4) Imamo ne kaha.*

👇👇👇👇👇👇👇
*अगर मेरा फतवा कुरआन और सही हदीस के खिलाफ़ जाये तो मेरे फतवे को छोड़ देना और कुरआन और सही हदीस को मान लेना.*

👉a:-ईक़ाज़-अल-हिमम अल फुलानी (इमाम अबू हनीफा रह.)
👉b:-अल मजमु अन नववी (1/63) (इमाम शाफ़ई रह.)
👉c:- जामी बयान अल इल्म इब्न अब्दुल बर्र 1/775 (इमाममालिक रह.)
👉d:-ईक़ाज़-अल-हिमम (इमाम इब्नहम्बल रह.)

☝ *Ahlehadees 1 imam ko manne ki baat karte hai yani Rasoolallah ﷺ ki.*
👉 *Or jub Tak ham log 1 imam yani Rasoolallah ﷺ ki baat nahi manenge tab tak ettehad (unity) nhi ho Sakti.*

👉 To kya Rasoolallah ﷺ ke peeche chalne ki baat krna Tafarka failana hai?

▶ *Deen ki koi bhi baat bina tehqeeq ke na ki jaye*
-----------------------------------------
👉Allah ne farmaya "Ai iman walo! Agar koi fasiq tumhare pas khabar le kar aye to uski tehqeeq kar liya Karo."
📚 (Surah Hujurat V# 6)

👉 *To hme bhi chhahiye ki suni Sunayi baato pe na chal kar tahqeeqat Kre*

👉Alhamdulillah Ahlehadees Deen ki sari bate Daleel ke sath karte hain Hawa me nahi.
👉 *To kya daleel ke sath baat karna Tafarka Failana hai?*

Allah ne kaha:-
👈 *قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ*

👆 *Daleel pesh karo Agar tum sachee ho.*
📚[Sura Al-Baqarah, Ayah 111]

👉 *Asal me jo log Sahi deen ko nahi samjhna chahte hain wo log Bus ilzam lagane ka kam karte hain taki logo tak Sachhi na pahuch sake.*

▶ *Hadees:- Allah jiske sath bhalai chahta hai usko shi  deen ki samajh de deta hai.*
--------------------------------------------------
👉 Rasool ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala jis shakhs ke saath bhalaai ka iraada farmaate hain us ko Deen(authentic) ki samajh de dete hain.

📚 *[Bukhari: 71]*

👉 *Hme Afwah me na rah kar Sahi deen ki Talash karni chaiye.*

*kyuki*
👉 *Apki Ebadat agar Rasoolallah ﷺ ki Tarah na hui to wo qubool hi nhi hogi to kya fayda aisi ebadat ka jo qubool hi na ho.*

👆 *Ummid hai baat Samjh me aaye*

Jazakallahu-khairan-kaseera

Comments

Popular posts from this blog

*Waqt ki ye zroorat samjh Lo, Bin padhe ab guzara nahi.*

❌ *22 रजब के कुंडे क्या है*❓ ❌

*Rasoolullah ﷺ ya kisi Auliya ke waseele (unke sadqe)se dua mangna kaisa hai?*