*Jo log masjidon me Aurto ko jane se mna krte hain wo log shayad court ke order ke bad Es hadees ko maan le.*
*Jo log masjidon me Aurto ko jane se mna krte hain wo log shayad court ke order ke bad Es hadees ko maan le.*
--------------------------------------------------
*Masjid me Orton ko jaane se rokne waalon ko Allaah k Rasool sallaahu alaihi wasallam or Sahaba r.a ki naseehat :-*
--------------------------------------------------
Aese hi bhaiyon k liye Allaah k Rasool s.a.w or sahaba r.a ki ye naseehate yad rakhni chahiye.
👇🏻
1⃣Sahih Bukhari Hadees # 900
Umar razi Allah anho ki aik biwi theen jo subah aur esha ki namaz jamaat se parhnay ke liye masjid mein aaya karti theen. un se kaha gaya ke bawajood is ilm ke ke Umar razi Allah anho is baat ko makrooh jantay hain aur woh ghairat mehsoos karte hain phir aap masjid mein kyun jati hain. is par unhon ne jawab diya ke phir woh mujhe mana kyun nahi kar dete. logon ne kaha ke rasoolAllah sallAllahu aleh wasalam ki is hadees ki wajah se ke Allah ki bndyon ko Allah ki masjidoon mein anay se mat roko
Sahih Hadees
2⃣Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 16
Rasool Allah sallAllahu aleh wassalam ne farmaya : tum Allah ki bandion ( aurton ) ko masjid mein namaz parhnay se nah roko, to un ke aik betay ne un se kaha : hum to inhen zaroor rokain ge, yeh sun kar Ibn Umar razi Allah anhuma sakht naraaz hue aur bolay : mein tum se rasool Allah sale Allah aleh wassalam ki hadees bayan kar raha hon aur tum kehte ho ke hum inhen zaroor rokain ge?
Sahih Hadees
3⃣Jam e Tirmazi Hadees # 3122
aik khobsorat aurat rasool Allah sale Allah alaihi wassalam ke peechay ( aurton ki safon mein ) namaz parha karti thi to baaz log agay barh kar pehli saf mein ho jatay thay taakay woh usay nah dekh saken aur baaz agay se peechay aa kar aakhri saf mein ho jatay thay ( aurton ki saf se mili hui saf mein ) phir jab woh ruku mein jatay to apni baghlo ke neechay se usay dekhte, is mauqa par Allah taala ny aayat « ولقد علمنا المستقدمین منكم ولقد علمنا المستأخرین » ”Hum khoob jantay hain un logon ko jo agay barh jane walay hain aur un logon ko bhi jo peechay hatt jane walay hain“ ( الحجر : ۲۴ ), nazil farmai.
Comments
Post a Comment