*Hamari zindagi (life) me doosra kon hota hai interfere karne wala, hum acha kre ya bura kre hamari marzi*
*Hamari zindagi (life) me doosra kon hota hai interfere karne wala, hum acha kre ya bura kre hamari marzi*
--------------------------------------------------
👆 *Jo log aisa kahte hain unko Es hadees pe dhayan dena chahiye.*👇👇👇👇
*Jub koi burai dekho to usko "hath" se roko na rok sko to "muh" se roko or wo bhi na hoto "dil" me bura smjho.*
=========================
👉Rasool SAW Ne farmaya tum mein se jo shaks kisi buraayi ko dekhe, to usey chahiye ke woh Usey apne haath se rok de. agar uss ki taaqat na rakhta ho to phir apni zabaan se roke. agar uss ki bhi taaqat na ho to dil mein bura jaane, Yeh Imaan ka kamzoor tareen darja hai.
📚 *[Sahih Muslim 49 a]*
👆 *Jo log Es hadees pe amal kre wo pahle khud es hadees pe amal kre.*👇👇👇👇
*Logo ko achhi bate batane wala or khud us par amal na krne wale ko Qayamat ke din Jahannam me dala jayega.*
=========================
Mafhom-e-hadees:-
👉🏻 *Rasool Allah ﷺ Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo *jahannam me dala jayega* uske pet ki aantein "intestine" bahar nikal aayegi wo unko liye huve gadhe ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega Aur jahannam wale uske paas ekaththe honge usse puchenge ki Aye falah kya tu achchi baat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se mana nahi karta tha wo kahega main to Aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud us par amal nahi karta Aur dusron ko buri baat se mana karta tha lekin khud us se baaz na rahta tha.
📚[Sahi bukhari:7098]
( *हर बात दलील के साथ*)
Comments
Post a Comment