➡ *Hadith : jo 3 din se ziyada apne musalman bhai se naraz raha aur mar (death) gya to wo dozakh mein dakhil hoga*
➡ *Hadith : jo 3 din se ziyada apne musalman bhai se naraz raha aur mar (death) gya to wo dozakh mein dakhil hoga*
--------------------------------------------------
👉Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya ki kisi Momeen ke liye ye jayez nahi ki dusrey momeen ko 3 din se ziyada chodh de (yani naraz rahey) , agar 3 din guzar jaye to wo us sey miley aur salam karey agar usney salam ka jawab diya to sawab mein dono sharik ho gaye aur agar salam ka jawab nahi diya to wo (jawab na dene wala) sara gunaah le gaya.
📚 *[Abu Dawud:-#1481]*
👉 Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya kisi musalman ke liye ye jayez nahi ki apne bhai ko 3 din se ziyada chor de ( yani us sey naraz rahe) jisne 3 din se ziyada chorh diya aur mar gaya to wo dozakh mein dakhil hoga.
📚 *[Abu Dawud:-#1483]*
Comments
Post a Comment