Ahle Hadees Ka Imam Kon ??
Ahle Hadees Ka Imam Kon ??
Imam Abu Hanifa ? Imam Shaaf'iee ? Imam Ahmad Ibn Hanbal ? Ya Imam Malik ?
Imam Ibn Taymiyah, Imam Bukhari Ya Hasan Al Basri ??
Jawab Hai: Ahle Hadees Ke Imam, Imam e Azam, Imam Ul Ambiya, Qaide Azam MuhammadurRasoolullah Sallallahualaihiwassallam Hain
Aur Allah aur uss kay Rasool ki farmanbardari kero takay tum per raham kiya jaye.
Quran 3:132
Aey imaan walo! Farmanbardari kero Allah Taalaa ki aur farmanbardari kero Rasool (SAW) ki aur tum mein say ikhtiyar walon ki. Phir agar kissi cheez mein ikhtilaf kero to ussay lotao Allah Taalaa ki taraf aur Rasool ki taraf agar tumhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per imaan hai. Yeh bahot behtar hai aur ba aetbaar anjam kay bahot acha hai.
Quran 4:59
So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen.
Quran 4:65
Aur tum Allah Taalaa ki ita’at kertay raho aur Rasool ki ita’at kertay raho aur ehtiyaat rakho. Agar aeyraaz kero gay to yeh jaan rakho kay humaray Rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai.
Quran 5:92
Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aaee hai aur Allah Taalaa ko chor ker mann gharat sir paraston ki ittabaa mat kero tum log bahot hi kum naseehat pakartay ho.
Quran 7:3
Aey imaan walo! Allah ka aur uss kay Rasool ka kaha mano aur uss (ka kaha mannay) say roo-gardani mat kero suntay jantay huye.
Quran 8:20
Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say.
Quran 9:31
Yaqeenan tumharay liye Rasool Allah mein umdah namoona (mojood) hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa ki aur qayamat kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah Taalaa ki yaad kerta hai.
Quran 33:21
Aur (dekho) kissi momin mard-o-aurat ko Allah aur uss kay Rasool kay faislay kay baad apnay kissi amar ka koi ikhtiyar baqi nahi rehta (yaad rakho) Allah Taalaa aur uss kay Rasool ki jo bhi na farmani keray ga woh sareeh gumrahee mein paray ga.
Quran 33:36
Imam Abu Hanifa , Shaaf'iee , Ahmad Ibn Hanbal , Malik Ye Saare Aaima Ikram Ye Saare Apne Apne Fun Ke Imam The, Apni Apni Field Ke Imam The
Deen Ke Imam Sirf MuhammadurRasoolullah
Ahle Hadees Ye Maante Hain Ke Imam Abu Hanifa Galti Bhi Karsakte Hain Aur Theek Bhi KehSakte Hain
Malik, Shaaf'iee Galti Bhi Karsakte Hain Aur Theek Bhi KehSakte Hain
Ahmad Ibn Hanbal Galti Bhi Karsakte Hain Aur Sahi Bhi Kehsakte Hain
Aur Koi Galti Nahi Karsakta, Wo Jab Bolta Hai Haqq Bolta Hai, Wo Imam e Azam, Imam Ul Ambiya MuhammadurRasoolullah Sallallahualaihiwassallam Hain:
Aur na woh apni khuwaish say koi baat kehtay hain.
Woh to sirf wahi hai jo utari jaati hai.
Quran 53:3-4
Har Bande Ki Baat Ko Chora JaaSakta Hai, Agar Ek Bande Ki Har Baat Seene Se Lagaya JaaSakta Hai To Uska Naam MuhammadurRasoolullah Sallallahualaihiwassallam Hai
Abu Hurayrah Riwayat Karte Hain :-
Rasoolullah Sallallahualaihiwasallam Ne Farmaya :-
Oss Zaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai , Tum Me Kisi Ke Andar Bhi Iman Nahi Aaega Jab Tak Wo Mujhse Apne Baap Aur Bacchon Se Zaada Mohabbat Kare.
Sahih Bukhari 14
Nabi Sallallahualaihiwasallam ne Farmaya :-
Qasam Hai Oss Zaat Ki Jiske Haath Me Meri Jaan Hai , Agar Musa Zinda Hoten , Unke Pass Aur Koi Chaara Nahi Hota Siwae Meri Pairwi Karne Ke.
Musnad Ahmad 14736 , Shaykh Albani Rahimaullah Ne Isko Hasan Qarar Diya Hai.
Nabi Sallallahualaihiwassallam Ne Farmaya: Main Tum Mein Se Kisi Ko Apne Takht Par Tek Lagaye Hargiz Is Haal Mein Na Paun ke Us Ke Paas Mera Koi Hukm Aae Jin Ka Main Ne Hukm Diya Hai Ya Jin Se Roka Hai Aur Wo Ye Know, "Yeh Hum Nahi Jantey Hum Ne To Allah Ki Kitab Mein Jo Kuch Paya Bas Usi Ki Paerwi Ki"
Jami Tirmidhi 2663 - Sahih
Is Baat Pe Koi Musalmaan Aaitraz Nahi Karsakta Ki Sabse Behtareen Imam Kaun Hai
JAZAKALLAHUKHAIRAN
Comments
Post a Comment